Dil or sheeshe dono hi tootne waali cheezein hain, farQ sirf itna hai keh sheeshe ke tootne ki aawaz sab sun lete hain magar dil bilkul khamoshi se yun toot jata hai goya kuch huwa hi nahi ho..
Toote huwe sheeshe ke tukre uthaane ki khoshish mein mehaz hath zakhmi hote hain magar dil ke tukre sametne ki khoshish karein tau dil ke zakhm mazeed barh jaate hain.
Jab dil toot-ta hai tau insaan ke dil ka aatish-e-fishaan paani ban kar aankhon ke raaste beh jata hai.
Log theek kehte hain keh toote huwe dil ki aah saari duniya ko mitaane ke liye kaafi hoti hai jab yeh naazuk shey toot-ti hai tau saari duniya se nafrat hone lagti hai phir insaan apna wajood kho baithta hai kisi ka dil kabhi mat toro, kyun keh dilon mein KhaaliQ-e-HaQeeQi ka basera hota hai.
Kitne be-reham hote hain woh log jo doosron ka dil torte hain aur phir iss kaar-e-fazool ko mardangi tassawur karte hain..