MainaiN daikhay haiN tanhai kay woh maNzar
Afkaar bhi meray jahaaN gooNgay ho gayay
Daikha hai woh dasht chuppi ka
BarsoN jahaaN waqt ki aari na chali
Pehlay
akayla to nahi raha itnaa
Subsay door reh kay bhi maiN
Saath jab tak diya lafzoN nay dard sehnay maiN
Bahishti ban ban kay pilaatay paani
Tashnagi jab jab barti
Duniya kay usooloN say
Aur ab
JazboN ka jam jaanaa
SaaNsoN ko nijaat kaisay milay
Aanay haiN abhi to kitnay mausam
Banay kya jo barf na yeh pighlay
Kabhi fariyaadi to nahi rahaa tera
Magar ZiNdagi aaj yeh tujhko kehta hooN
Day sau nashtar,tau bhi mujhay maNzoor
Par taaqat-e-lafz-bayaani meri
Har haal maiN mujh tak rehnay day