teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey
tu keh raha ha dil jisey wo meRi khahishoN ka mazaaR hey
teRa shukriya aey tabeeb-e-jaaN ye khaloos apni jaga magaR
teRi masihaai bhi kya karey meRa dard hi be-shumaaR hey
meRey raastoN meiN jo aa gaya meRey qaafley ko jo kha gaya
wo tufaN to kab ka guzaR gaya paR dil meiN ab tak gubaar hey
aey meharbaaN dost suN meRi mushkiloN ko samajh ke meiN
teri mohabatoN ka kya karooN kisey dil pe ab ikhtiyar hey!
naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey
jo nafratoN sey jhulas gaya usey dil sey saarey duwaeiN do
par us sitam-zada ka kya kareiN jo mohabatoN ka shikaaR hey!