Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN
Aaj udaasi nay phir chera hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaiga
Tanhai nay baaNdhay haiN guNghru
Aaj waqat bhi thahar jaiga
Chand ! apni chandni idhar rakh jaanaa
Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chayhrey
Ashqo ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
Behal jaayN aisay hi shayad ahsaasoN kay sfeenaiN
NaghmoN !Aaj kadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz
Khaamoshi ka zehar subko pilaayaa jaigaa
Aaj ki raat zindgi pay bhaari hai
Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli aNgrai
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai
Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
Dard-I-dil ko saMbhaaluN ab main
Ai fazaaoN tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main