mohabbat bhi gunnah hoti hai us ki bhi saza hoti hai
yeh ajab rishta hai jis mein bewafaye bhi wafa hoti hai
talib hai yeh dil us ka pyase hein yeh nain us ke
usey koi toh sumjha de shamma kyun fana hoti hai
chupaya hai khud ko mein ne lakh pardoon mein lekin
meri har baat mein buss wohi soorat ayan hoti hai
luta aye hoon jis par mein upne dil ki har dharkan
mein zinda hoon yahan lekin meri rooh toh wahan hoti hai
dar lagta hai har shakhs se keh mujhko koi na samjhe ga
mere jaise hazaroon ki yeh duniya sathi kahan hoti hai