wo sadaa yaad aaye bhulanay ke baad,
zindagi bhar gayi zehar khanay ke baad,
dil sulagta raha aashianay ke baad,
aag thandi hui ik zamane ke baad,
roshni ke liye ghar jalana para,
kaisi zulmat bhari tere jaane ke baad,
jab na kuch ban para arz-e-ghum ka jawab,
wo khafa ho gaye muskuranay ke baad,
dushmanon se pashemaan hona para hai,
doston ka khulus azmanay ke baad,
baksh de ya RAB ahal-e-hawas ko bahisht,
mujh ko kia chahye tumko paanay ke baad,
kaise kaise gilay yaad aaye "khumar" unke aane se qabl unke jaane ke baad..