Mujhay bas itna kehna hai
>Kabhi main yaad aaoon to
>Kabhi tanhai ki raatain
>Tumhain ziada sataein to
>Kabhi titli na bolay to
>Aur jugnoo lout jaye to
>Kabhi jab dil bhi bhar jaye
>Koi jab sunn na paye to
>Agar sab dost sathi bhi
>Jo tum se rooth jaaein to
>Kabhi jab khud se lar lar kar
>Thakan se choor ho jao
>Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
>Ro na paao to
>Apni aankhon ko band karna
>Mujhay aawaz de dena
>Aur phir meray tasawwur se
>Jo chaho batain keh dena
>Meray kaandhay pe sir rakh kar
>Tum jitna chaho ro lena
>Phir khud main jab loat jao to
>Us he duniya chalay jana
>Magar bas itna kehna hai
>Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
>Hamain dil se pukaro gay
>Hamain tum saath pao gay.......
Hamain tum sath pao gay......