un se door jany ka irada to na tha,,,,,,
sada sath rehny ka bhi wada to na tha,
wo yaad na karyn gy ye janty thy ham,
par itni jaldi bhul jayn gy andaza to na tha.
thak gay ham intizar karty karty,
roy bar bar khud se takrar karty karty,
do lafz un ki zuban se na nikle,
or,toot gay ham ik tarfa pyar karty karty.
manzilen bhi us ki theen,rasta bhi us ka tha,
aik main akela tha, kafla bhi us ka tha,
sath sath chalny ki soch bhi us ki thi,
phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha,
aj kyun akela hun dil sawal karta hai,
log to us ke thy kya khuda bhi us ka tha?
yaden tery khaloos ki dastan hain aj,
milny ki arzu main tarasti hain aj,
ankhen hazar sabr ki koshish ke ba wajood,
ruk ruk ke bar bar barasti hain aj.